ab mere dusre bazu pe wo shamshir hai jo
is se pahle bhi mera nisf badan kaT chuki
usi banduq ki nali hai meri samt ki jo
is se pahle meri shah-rag ka lahu chaT chuki
phir wahi aag dar aai hai meri galiyon mein
phir mere shahr mein barud ki bu phaili hai
phir se tu kaun hai main kaun hun aapas mein sawal
phir wahi soch miyan-e-man-o-tu phaili hai
meri basti se pare bhi mere dushman honge
par yahan kab koi aghyar ka lashkar utra
aashna hath hi aksar meri jaanib lapke
mere sine mein sada apna hi KHanjar utra
phir wahi KHauf ki diwar tazabzub ki faza
phir wahi aam huin ahl-e-riya ki baaten
nara-e-hubb-e-watan mal-e-tijarat ki tarah
jins-e-arzan ki tarah din-e-KHuda ki baaten
is se pahle bhi to aisi hi ghaDi aai thi
subh-e-wahshat ki tarah sham-e-ghariban ki tarah
is se pahle bhi to paiman-e-wafa TuTe the
shisha-e-dil ki tarah aaina-e-jaan ki tarah
phir kahan ahmarin honTon pe duaon ke diye
phir kahan shabnamin chehron pe rifaqat ki rida
sandalin panw se mastana-rawi ruTh gai
marmarin hathon pe jal-bujh gaya angar-e-hina
dil-nashin aankhon mein furqat-zada kajal roya
shaKH-e-bazu ke liye zulf ka baadal roya
misl-e-pairahan-e-gul phir se badan chaak hue
jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke tir
is se pahle bhi hua chand mohabbat ka do-nim
nok-e-dashna se khichi thi meri dharti pe lakir
aaj aisa nahin aisa nahin hone dena
ai mere soKHta-jaano mere piyare logo
ab ke gar zalzale aae to qayamat hogi
mere dil-gir mere dard ke mare logo
kisi ghasib kisi zalim kisi qatil ke liye
KHud ko taqsim na karna mere sare logo
Nazm
Ai mere sare logo
Ahmad Faraz