اردو हिंदी
Ai ishq kahin le chal | Shaahi Shayari
ai ishq kahin le chal

Nazm

Ai ishq kahin le chal

Akhtar Shirani

;

ai ishq kahin le chal is pap ki basti se
nafrat-gah-e-alam se lanat-gah-e-hasti se

in nafs-paraston se is nafs-parasti se
dur aur kahin le chal!

ai ishq kahin le chal!
hum prem pujari hain to prem kanhiyya hai

to prem kanhiyya hai ye prem ki nayya hai
ye prem ki nayya hai tu is ka khewayya hai

kuchh fikr nahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

be-rahm zamane ko ab chhoD rahe hain hum
bedard azizon se munh moD rahe hain hum

jo aas ki thi wo bhi ab toD rahe hain hum
bas tab nahin le chal!

ai ishq kahin le chal!
ye jabr-kada aazad afkar ka dushman hai

armanon ka qatil hai ummidon ka rahzan hai
jazbaat ka maqtal hai jazbaat ka madfan hai

chal yan se kahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

aapas mein chhal aur dhoke sansar ki riten hain
is pap ki nagri mein ujDi hui parten hain

yan nyaye ki haaren hain annyaye ki jiten hain
sukh chain nahin le chal!

ai ishq kahin le chal!
ek mazbah-e-jazbaat-o-afkar hai ye duniya

ek maskan-e-ashrar-o-azar hai ye duniya
ek maqtal-e-ahrar-o-abrar hai ye duniya

dur is se kahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

ye dard bhari duniya basti hai gunahon ki
dil-chaak umidon ki saffak nigahon ki

zulmon ki jafaon ki aahon ki karahon ki
hain gham se hazin le chal!

ai ishq kahin le chal!
aaankhon mein samai hai ek KHwab-numa duniya

taron ki tarah raushan mahtab-numa diya
jannat ki tarah rangin shadab-numa duniya

lillah wahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

wo tir ho sagar ki rut chhai ho phagun ki
phulon se mahakti ho purwai ghane ban ki

ya aaTh pahar jis mein jhaD badli ho sawan ki
ji bas mein nahin le chal!

ai ishq kahin le chal!
qudarat ho himayat par hamdard ho qismat bhi

'salma' bhi ho pahlu mein 'salma' ki mohabbat bhi
har shai se faraghat ho aur teri inayat bhi

ai tifl-e-hasin le chal!
ai ishq kahin le chal!

ai ishq hamein le chal ek nur ki wadi mein
ek KHwab ki duniya mein ek tur ki wadi mein

huron ke KHayalat-e-masrur ki wadi mein
ta KHuld-e-barin le chal!

ai ishq kahin le chal!
sansar ke us par ek is tarah ki basti ho

jo sadiyon se insan ki surat ko tarasti ho
aur jis ke nazaron par tanhai barasti ho

yun ho to wahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

maghrib ki hawaon se aawaz si aati hai
aur hum ko samundar ke us par bulati hai

shayad koi tanhai ka des batati hai
chal is ke qarin le chal!

ai ishq kahin le chal!
ek aisi faza jis tak gham ki na rasai ho

duniya ki hawa jis mein sadiyon se na aai ho
ai ishq jahan tu ho aur teri KHudai ho

ai ishq wahin le chal!
ai ishq kahin le chal!

ek aisi jagah jis mein insan na baste hon
ye makr o jafa-pesha haiwan na baste hon

insan ki qaba mein ye shaitan na baste hon
to KHauf nahin le chal!

ai ishq kahin le chal!
barsat ki matwali ghanghor ghaTaon mein

kohsar ke daman ki mastana hawaon mein
ya chandni raaton ki shaffaf fazaon mein

ai zohra-jabin le chal!
ai ishq kahin le chal!

in chand sitaron ke bikhre hue shahron mein
in nur ki kirnon ki Thahri hui nahron mein

Thahri hui nahron mein soi hui lahron mein
ai KHizr-e-hasin le chal!

ai ishq kahin le chal!
ek aisi bahisht aain wadi mein pahunch jaen

jis mein kabhi duniya ke gham dil ko na taDpaen
aur jis ki bahaaron mein jine ke maze aaen

le chal tu wahin le chal!
ai ishq kahin le chal!