itni guzri hai giran chizon ki arzani mujhe
ho gaya hai taza sauda-e-ghazal-KHwani mujhe
dudh mein bilkul nazar aata nahin pani mujhe
dil ne kar rakkha hai mahw-e-sad-pareshani mujhe
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kaam dhanda kuchh nahin dil kis tarah bahlaun main
kyun na leader ban ke sari qaum ko bahkaun main
jab nahin dhanda to chanda hi karun aur khaun main
screening ki kameti ke na hath aa jaun main
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kyun na editor banun aKHbar-e-gauhar-bar ka
aur qalam ko rup dun chalti hui talwar ka
hath mein shamla ho sab ashraf ki dastar ka
marshal-law mein magar pahla hai TukDa mar ka
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
sochta hun phir ki haj kar aaun smuggler banun
mal-e-din o mal-e-duniya ka baDa dealer banun
mulk ke andar banun ya mulk ke bahar banun
al-gharaz jo kuchh banun main fauj se bach kar banun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kya KHabar thi qimaten yun hongi sasti ek din
rang laegi hamari faqa-masti ek din
chor-bazari ki miT jaegi hasti ek din
hogi chewrolet pe bhi to-let ki taKHti ek din
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
bahr ke sine se sona tak ugalwaya gaya
gandum-e-KHalwat-nashin bazar mein laya gaya
aur zaKHira-baz se chakki mein piswaya gaya
nafa-KHoron ka diwala tak nikalwaya gaya
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
hae kashkol-e-gadai le ke ab jaega kaun
lal gandum la ke hum kalon ko khilwaega kaun
jis ko amrici suar khate the wo khaega kaun
sath mein gandum ke mister ghun ko piswaega kaun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ghair-mulki mal ko roti hain ab tak bibayan
aur har import ke licence ko un ke miyan
ghair bankon mein jo daulat hai wo aaegi yahan
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ya main sab kuchh chhoD dun aur chor-bazari karun
zindagi ki film mein aisi adakari karun
donon hathon se kama kar uzr-e-nadari karun
jab hukumat tex mange aah aur zari karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

Nazm
Ai gham-e-dil kya karun
Syed Mohammad Jafri