kya hua gar mere yaron ki zabanen chup hain
mere shahid mere yaron ke siwa aur bhi hain
ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain
ek hum hi nahin duniya se KHafa aur bhi hain
hum pe hi KHatm nahin maslak-e-shorida-siri
chaak-dil aur bhi hain chaak-qaba aur bhi hain
sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami
jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain
munsif-e-shahr ki wahdat pe na harf aa jae
log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain
Nazm
Ahl-e-dil aur bhi hain
Sahir Ludhianvi