اردو हिंदी
Adl-e-jahangiri | Shaahi Shayari
adl-e-jahangiri

Nazm

Adl-e-jahangiri

Shibli Nomani

;

qasr-e-shahi mein ki mumkin nahin ghairon ka guzar
ek din nur-jahan baam pe thi jalwa-figan

koi shamat-zada rahgir udhar aa nikla
garche thi qasr mein har chaar taraf se qadghan

ghairat-e-husn se begam ne tamancha mara
KHak par Dher tha ek kushta-e-be-gor-o-kafan

sath hi shah-e-jahangir ko pahunchi jo KHabar
ghaiz se aa gai abru-e-adalat pe shikan

hukm bheja ki kanizan-e-shabistan-e-shahi
ja ke puchh aaen ki sach ya ki ghalat hai ye suKHan

naKHwat-e-husn se begam ne ba-sad-naz kaha
meri jaanib se karo arz ba-ain-e-hasan

han mujhe waqea-e-qatl se inkar nahin
mujh se namus-e-haya ne ye kaha tha ki bazan

us ki gustaKH-nigahi ne kiya us ko halak
kishwar-e-husn mein jari hai yahi shara-e-kuhan

mufti-e-din se jahangir ne fatwa puchha
ki shariat mein kisi ko nahin kuchh ja-e-suKHan

mufti-e-din ne be-KHauf-o-KHatar saf kaha
shara kahti hai ki qatil ki uDa do gardan

log darbar mein is hukm se tharra uTThe
par jahangir ke abru pe na bal tha na shikan

tarkashon ko ye diya hukm ki andar ja kar
pahle begam ko karen basta-e-zanjir-o-rasan

phir usi tarah use khinch ke bahar laen
aur jallad ko den hukm ki han tegh bazan

ye wahi nur-jahan hai ki haqiqat mein yahi
thi jahangir ke parde mein shahanshah-e-zaman

us ki peshani-e-nazuk pe jo paDti thi girah
ja ke ban jati thi auraq-e-hukumat pe shikan

ab na wo nur-jahan hai na wo andaz-e-ghurur
na wo ghamze hain na wo arbada-e-sabr-shikan

ab wahi panw har ek gam pe tharraate hain
jin ki raftar se pamal the murghan-e-chaman

ek mujrim hai ki jis ka koi hami na shafi
ek bekas hai ki jis ka na koi ghar na watan

KHidmat-e-shah mein begam ne ye bheja paigham
KHun-baha bhi to shariat mein ek amr-e-ahsan

mufti-e-shara se phir shah ne fatwa puchha
bole jaez hai raza-mand hun gar bachcha o zan

warison ko jo diye lakh diram begam ne
sab ne darbar mein ki arz ki ai shah-e-zaman

hum ko maqtul ka lena nahin manzur qisas
qatl ka hukm jo ruk jae to hai mustahsan

ho chuka jab ki shahanshah ko pura ye yaqin
ki nahin is mein koi shaeba-e-hila-o-fan

uTh ke darbar se aahista chala su-e-haram
thi jahan nur-jahan mo'takif-e-bait-e-KHazan

dafatan panw pe begam ke gira aur ye kaha
tu agar kushta shudi aah che mi kardam man