aur phir donon fanus sine ke bujh jaenge
oDh legi dhuan
dudh ki dhaar ki tarah ujli nazar
naKHun-e-pa se zulfon ke baadal talak
jagmagati hui khaal se
KHwahishon ke pur-asrar mahmil talak
ek tahrir likhegi dimak
fana
har taraf be-hisi
tirgi tirgi
han magar sirf ruKHsar o lab
sirf ruKHsar o lab rakh mein dabi chingariyon ki tarah
jagmagaenge
un par mere aur tere garm boson ki tahrir hai
zindagi
aur phir
waqt ki lamha lamha ubharti hui saKHt diwar gir jaegi
aur apne badan
aur mamuli namon mein tahlil ho jaenge
nur ka peD ban jaenge
aane wale nae mausamon ki hawa
ho ke shaKHon se guzregi aur
aasmani sadaon mein gaya hua
ek la-fani o be-karan git gunjega
aur gunjta hi rahega sada
aur gunjta hi rahega sada
Nazm
Abdiyat
Bashar Nawaz