hawa ka taaqub kabhi chand ki chandni ko pakaDne ki KHwahish
kabhi subh ke honT chhune ki hasrat
kabhi raat ki zulf ko gundhne ki tamanna
kabhi jism ke qahr ki madh-KHwani
kabhi ruh ki be-kasi ki kahani
kabhi jagne ki hawas ko jagana
kabhi nind ke band darwaze ko khaTkhaTana
kabhi sirf aankhen hi aankhen hain aur kuchh nahin hai
kabhi kan hain hath hain aur zaban hai
kabhi sirf lab hain
dilon ke dhaDakne ke andaz
ab ke baras kuchh ajab hain
Nazm
Ab ke baras
Shahryar