sher ke jadugar sangit ke sahir
misron aur dhunon ke KHali sipon ke kashkol uThae
afsurda maghmum khaDe hain
suni aankhon mein TuTi ummid liye
aawaz ke un nauras qatron ki
jo KHali sipon mein amrit ban kar Tapken
aur izhaar guhar ban jae
lafz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar
be-harkat be-jaan dhare hain
un honTon ki hasrat mein
jin ki pechida tarsil KHamida jumbish
saut o bayan ko mani ki sau jihten baKHsha karti thi
yaad mein us pur-nur dahan ki
jis se ubalti tah-dar-tah aawaz ke raushan jadu se
shabd suron mein ghul jate the
nok-e-qalam se barbat ke taron tak jalte dagh
aab-e-sada se dhul jate the
(us ke dilkash git hawaon ke honTon par sadiyon tak mahfuz rahenge)
shor bhari duniya ki dukhi tanhai mein
umr ki jis manzil pe jis jiwan ki Dagar par
jazbon ki jis rahguzar par
dil ka musafir pal-do-pal ko Thahrega
us ki sada ke hamdam hath
bujhi hui bezar samaat ke shane thapkenge
man ka dukh banTenge
ranj KHushi mausam tyauhaar
wasl judai dard qarar
ummidon ki masti TuTe KHwabon ki uljhan
zulm baghawat ganw watan
ahd-e-kuhan ke ramz nae yug ki tafsiren
ishq ibaadat aaina-KHane tanwiren
har ghar har mahfil us ki aawaz ke moti
baam-e-hawa se barsenge
aah magar
alfaz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar
us ke dhun ke nae ujalon nae ufuq ko
rahti duniya tak tarsenge
Nazm
Aawaz ke moti
Abdul Ahad Saaz