shahr ki raat aur main nashad o nakara phirun
jagmagati jagti saDkon pe aawara phirun
ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar mara phirun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
jhilmilate qumqumon ki rah mein zanjir si
raat ke hathon mein din ki mohni taswir si
mere sine par magar rakhi hui shamshir si
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ye rupahli chhanw ye aakash par taron ka jal
jaise sufi ka tasawwur jaise aashiq ka KHayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe ji ka haal
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
phir wo TuTa ek sitara phir wo chhuTi phul-jaDi
jaane kis ki god mein aai ye moti ki laDi
huk si sine mein uTThi choT si dil par paDi
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
raat hans hans kar ye kahti hai ki mai-KHane mein chal
phir kisi shahnaz-e-lala-ruKH ke kashane mein chal
ye nahin mumkin to phir ai dost virane mein chal
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
har taraf bikhri hui ranginiyan ranaiyan
har qadam par ishraten leti hui angDaiyan
baDh rahi hain god phailae hue ruswaiyan
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
raste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin
lauT kar wapas chala jaun meri fitrat nahin
aur koi ham-nawa mil jae ye qismat nahin
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye
ab bhi jaane kitne darwaze hain wa mere liye
par musibat hai mera ahd-e-wafa mere liye
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ji mein aata hai ki ab ahd-e-wafa bhi toD dun
un ko pa sakta hun main ye aasra bhi toD dun
han munasib hai ye zanjir-e-hawa bhi toD dun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ek mahal ki aaD se nikla wo pila mahtab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise bewa ka shabab
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
dil mein ek shoala bhaDak uTTha hai aaKHir kya karun
mera paimana chhalak uTTha hai aaKHir kya karun
zaKHm sine ka mahak uTTha hai aaKHir kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
ji mein aata hai ye murda chand tare noch lun
is kinare noch lun aur us kinare noch lun
ek do ka zikr kya sare ke sare noch lun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
muflisi aur ye mazahir hain nazar ke samne
saikDon sultan-e-jabir hain nazar ke samne
saikDon changez o nadir hain nazar ke samne
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
le ke ek changez ke hathon se KHanjar toD dun
taj par us ke damakta hai jo patthar toD dun
koi toDe ya na toDe main hi baDh kar toD dun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
baDh ke us indar sabha ka saz o saman phunk dun
us ka gulshan phunk dun us ka shabistan phunk dun
taKHt-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phunk dun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
Nazm
Aawara
Asrar-ul-Haq Majaz