اردو हिंदी
Aankhen taras gai hain | Shaahi Shayari
aankhen taras gai hain

Nazm

Aankhen taras gai hain

Abrar Ahmad

;

is ghar mein ya us ghar mein
tu kahin nahin hai

darwaze bajte hain
KHali kamre

teri baaton ki mahkar se bhar jate hain
diwaron mein

teri sansen soi hain
main jag raha hun

kanon mein
koi gunj si chakraati phirti hai

bhule-bisre giton ki
chandni raat mein khilte hue

phulon ki damak hai, yahin kahin
tere KHwab

meri be-saya zindagi par
baadal ki surat jhuke hue hain

yaad ke dasht mein
aankhen kanTe chunti hain

mere hath
tere hathon ki ThanDak mein

Dube rahte hain
aaKHir teri miTTi se mil jaane tak

kitne pal
kitni sadiyan hain

is sarhad se
us sarhad tak

kitni masafat aur paDi hai
un raston mein

kitni barishen baras gai hain
aankhen meri

teri raaton ko taras gai hain