ek ek inT giri paDi hai
sab diwaren kanp rahi hain
an-thak koshishen meamaron ki
sar ko thame hanp rahi hain
moTe moTe shahtiron ka
resha resha chhuT gaya hai
bhaari bhaari jamid patthar
ek ek kar ke TuT gaya hai
lohe ki zanjiren gal kar
ab himmat hi chhoD chuki hain
halqa halqa chhuT gaya hai
bandish bandish toD chuki hain
chune ki ek patli si tah
girte girte baiTh gai hai
nabzen chhuT gain miTTi ki
miTTi se sar joD rahi hai
sab kuchh Dher hai ab miTTi ka
taswiren wo dilkash naqshe
pahchano to ro dogi tum
ghar mein hun bahar hun ghar se
ab aao to rakkha kya hai
chashme sare sukh gae hain
yun chaho to aa sakti ho
main ne aansu ponchh liye hain
Nazm
Aamadgi
Akhtar-ul-Iman