chehre tamam dhundle nazar aa rahe hain kyun
kyun KHwab ratjagon ki haweli mein dab gae
hai kal ki baat ungli pakaD kar kisi ki main
mele main ghumta tha khilaunon ke waste
jitne waraq likhe the meri zindagi ne sab
aandhi ke ek jhonke mein bikhre hue hain sab
main chahta hun phir se sameTun ye zindagi
bachche tamam pas khaDe hain bujhe bujhe
shoKHi na jaane kya hui rangat kahan gai
jaise kitab chhoD ke jate hue waraq
jaise ki bhulne lage bachcha koi sabaq
jaise jabin ko chhune lage maut ka araq
jaise charagh nind ki aaghosh ki taraf
baDhne lage andhere ki zulfen bikher kar
bhule hue hain honT hansi ka pata talak
darwaza dil ka band hua chahta hai ab
kya sochna ki phul se bachchon ka sath hai
ab main hun aspatal ka bistar hai raat hai
Nazm
AaKHiri sach
Munawwar Rana