chand TuTa pighal gae tare
qatra qatra Tapak rahi hai raat
palken aankhon pe jhukti aati hain
ankhDiyon mein khaTak rahi hai raat
aaj chheDo na koi afsana
aaj ki raat hum ko sone do
khulte jate hain simTe-sukDe jal
ghulte jate hain KHun mein baadal
apne gulnar pankh phailae
aa rahe hain isi taraf jangal
gul karo shama, rakh do paimana
aaj ki raat hum ko sone do
sham se pahle mar chuka tha shahr
kaun darwaza khaTkhaTata hai
aur unchi karo ye diwaren
shor aangan mein aaya jata hai
kah do hai aaj band mai-KHana
aaj ki raat hum ko sone do
jism hi jism hain, kafan hi kafan
baat sunte na sar jhukate hain
amn ki KHair, kotwal ki KHair
murde qabron se nikle aate hain
koi apna na koi begana
aaj ki raat hum ko sone do
koi kahta tha, Thik kahta tha
sar-kashi ban gai hai sab ka shiar
qatl par jin ko e'tiraaz na tha
dafn hone ko kyun nahin tayyar
hosh-mandi hai aaj so jaana
aaj ki raat hum ko sone do
Nazm
AaKHiri raat
Kaifi Azmi