shayad meri zamin
apne safar ke aaKHiri paDaw se aage nikal chuki hai
manzil par jalte hue falak-bos alaw ki hiddat kuchh itni tez hai
ki daraKHton ke jaDon se le kar
shaKHon ke saron par aane wala baur tak
pasine aur garmi se hanp raha hai
waqt ki kaThali mein ubalte hue haalat ke sath
ab ke kisi aql-mand ne hawa ke hath par rakkhe hue
tamam mausam bhi uTha kar Dal diye hain
mujhe yaad hai ki shuur ki pahli siDhiyon par panw rakhte hi
kis asbiyyati lamhe ne
mere kanon mein sargoshi ki thi
ki tum apne bap ki paidaish se bhi bahut pahle girwi rakh diye gae the
main us din se le kar aaj tak bahi-khaton ke
qarz wale KHane se nahin nikal saka
aur mere hathon mein itni be-iKHtiyari bhar di gai hai
ki mere ghar ke darwaze ki chabiyan har roz phisalti hui
meri ungli ki aaKHiri por par aa jati hain
aur main dahshatnak aankhon se KHala mein dekhne lagta hun
ki jaise dur ghulami ke siyah manzar
aadhe se zyaada darsi kitabon se bahar nikal aae hain
KHauf ke lambe naKHunon ne KHak-zadon ke badan ki miTTi aise khurach di hai
jaise makanon ki diwaron ka kachcha rang
tez barishon mein utar kar naliyon mein bah jata hai
gharon mohallon aur saDkon par nadida diwaren itni unchi uTha di gai hain
ki hum ikaTThe rahte hue ek sath chalte hue bhi
ek dusre ko dekh nahin sakte
aur kya kahun ki is sal dekhne sunne aur bolne par bhi namkin laga diya gaya
jaise hum sab apne apne badan mein tanha kar ke mar diye jaenge
wo ahd zyaada dur nahin
jab hamein koi nasl mohanjodDo aur haDappa ki tarah daryaft karegi
soch raha hun ki hamein kitne fiT gahra khod kar nikala jaega
aur phir museum mein rakhi hui shishe ki almariyon mein
purani haDDiyon ke niche ye tahrir jab koi sayyah rakh kar paDhega
ki ye is daur ka insan tha jab taraqqi apne nuqta uruj se bhi aage thi
magar talim-yafta is maashre ke log ghaaron mein rahne walon se zyaada tahzib-yafta the
ye ek shaer tha
jo ehsas ki qabr mein
apni maut se pahle dafn kar diya gaya
Nazm
AaKHiri paDaw
Saleem Figar