KHuda ne quran mein kaha hai
ki logo main ne
tumhaari KHatir
falak banaya
falak ko taron se
chand suraj se jagmagaya
ki logo main ne
tumhaari KHatir
zamin banai
zamin ke sine pe
nadiyon ki lakiren khinchin
samundaron ko
zamin ki aaghosh mein biThaya
pahaD rakkhe
daraKHt ugae
daraKHt pe
phul phal lagae
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye din banaya
ki din mein kuchh kaam kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye shab banai
ki shab mein aaram kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari KHatir
ye sab banaya
magar na bhulo
ki ek din main
ye sari chizen sameT lunga
KHuda ne jo kuchh kaha hai
sach hai
magar na jaane
wo din kahan hai
wo aaKHiri din
ki jab KHuda ye tamam chizen sameT lega
mujhe usi din ki justuju hai
ki ab ye chizen
bahut purani
bahut hi farsuda ho chuki hain
Nazm
AaKHiri din ki talash
Mohammad Alvi