aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya 
kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain 
mausam-e-wasl ki kirnon ka wo amboh rawan 
jis ke hamrah kisi zohra-jabin ki Doli 
aise utri thi ki jaise koi aayat utre 
hijr ki sham ke bikhre hue kajal ki lakir 
jis ne aankhon ke gulabon pe shafaq chhiDki thi 
jaise KHushbu kisi jangal mein barahna Thahre 
KHilqat-e-shahr ki jaanib se malamat ka azab 
jis ne akasr mujhe hone ka yaqin baKHsha tha 
dast-e-adaen wo khinchti hui tohmat ki kaman 
barish-e-sang mein khulti hui tiron ki dukan 
mehrban dost rifaqat ka bharam rakhte hue 
ajnabi log dil-o-jaan mein qadam rakhte hue 
aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya 
kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain 
ab na pindar-e-wafa hai na mohabbat ki jaza 
dast-e-ada ki kashish hai na rafiqon ki saza 
taKHta-e-dar na mansab na adalat ki KHalish 
ab to ek chiKH si honTon mein dabi rahti hai 
ras aaega kise dasht-e-bala mere baad 
kaun mangega ujaDne ki dua mere baad 
aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
        Nazm
Aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya
Mohsin Naqvi

