jab bhi tanha mujhe pate hain guzarte lamhe
teri taswir si rahon mein bichha jate hain
main ki rahon mein bhaTakta hi chala jata hun
mujh ko KHud meri nigahon se chhupa jate hain
mere bechain KHayalon pe ubharne wali
apne KHwabon se na bahla meri tanhai ko
jab teri sans meri sans mein tahlil nahin
kya karengi meri banhen teri angDai ko
jab KHayalon mein tere jism ko chhu leta hun
zindagi shoala-e-mazi se jhulas jati hai
jab guzarna hun gham-e-haal ke virane se
mere ehsas ki nagin mujhe Das jati hai
ham-safar tujh ko kahun ya tujhe rahzan samjhun
rah mein la ke mujhe chhoD diya hai tu ne
ek wo din ki tera pyar basa tha dil mein
ek ye waqt ki dil toD diya hai tu ne
mazi o haal ki tafriq wo qurbat ye firaq
pyar gulshan se chala aaya hai zindanon mein
be-zari apni sadaqat ko parakhti hi rahi
tal gaya husn zar-o-sim ki mizanon mein
ghair se resham-o-kam-KHwab ki rahat pa kar
tu mujhe yaad bhi aaegi to kya aaegi
ek mustaqbil-e-zarrin ki tijarat ke liye
tu mohabbat ke taqaddus ko bhi Thukraegi
aur main pyar ki taqdis pe marne wala
dard ban kar tere ehsas mein bas jaunga
waqt aaega to iKHlas ka baadal ban kar
teri jhulsi hui raaton pe baras jaunga
Nazm
Aaj ki baaten kal ke sapne
Qateel Shifai