aaj ek harf ko phir DhunDta phirta hai KHayal
madh bhara harf koi zahr bhara harf koi
dil-nashin harf koi qahr bhara harf koi
harf-e-ulfat koi dildar-e-nazar ho jaise
jis se milti hai nazar bosa-e-lab ki surat
itna raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yar mein aaghaz-e-tarab ki surat
harf-e-nafrat koi shamshir-e-ghazab ho jaise
ta-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaen
itna tarik ki shamshan ki shab ho jaise
lab pe laun to mere honT siyah ho jaen
aaj har sur se har ek rag ka nata TuTa
DhunDti phirti hai mutrib ko phir us ki aawaz
joshish-e-dard se majnun ke gareban ki tarah
chaak-dar-chaak hua aaj har ek parda-e-saz
aaj har mauj-e-hawa se hai sawali KHilqat
la koi naghma koi saut teri umr daraaz
nauha-e-gham hi sahi shor-e-shahadat hi sahi
sur-e-mahshar hi sahi bang-e-qayamat hi sahi
Nazm
Aaj ek harf ko phir DhunDta phirta hai KHayal
Faiz Ahmad Faiz