aaina dekhne ka shauq hai wo
is ka har shaKHs mubtala dekha
samne aaine ke ban-Than kar
hum ne ahbab ko khaDa dekha
koi muchhon pe tao deta hai
koi DaDhi sanwarta dekha
koi kapDon ko saf karta hai
koi munh dekhta hua dekha
shana hai ya barash hai ya rumal
hath KHali na ek ka dekha
shauq hai aam jama-zebi ka
jis ko dekha hai KHud-numa dekha
dekha sab ne hi apna jism-o-libas
lek ye tarfa majra dekha
dekhne se kabhi nahin seri
rose go chehra barha dekha
apni surat ke sab hain shaidai
sab ko apna farefta dekha
surat-e-zahiri magar ai dost
jis ne dekhi hai us ne kya dekha
dekhne wala us ko kahte hain
jis ne baatin bhi barmala dekha
dil ka aaina pas hai sab ke
saf aisa kam aaina dekha
mujh se puchho to wo hai nek-nasib
jis ne ye aaina zara dekha
surat-e-haal hai KHabar pai
aur apna bura bhala dekha
nutq o atwar din aur iman
sab ko jaise hain barmala dekha
aur phir le ke sai ka rumal
naqs jo jo ki ja-ba-ja dekha
us ki is tarah se safai ki
ki na aankhon ne phir zara dekha
ye hai aaina dekhna ai dost
dekha is tarah to baja dekha

Nazm
Aaina dekhna
Suraj Narayan Meher