ai jawanan-e-watan ruh jawan hai to uTho
aankh us mahshar-e-nau ki nigaran hai to uTho
KHauf-e-be-hurmati-o-fikr-e-ziyan hai to uTho
pas-e-namus-e-nigran-e-jahan hai to uTho
uTho naqqara-e-aflak baja do uTh kar
ek soe hue aalam ko jaga do uTh kar
ek ek samt se shab-KHun ki tayyari hai
lutf ka wada hai aur mashq-e-jafa-kari hai
mahfil-e-zist pe farman-e-qaza jari hai
shahr to shahr hai ganw pe bhi bambari hai
ye faza mein jo garajte hue tayyare hain
barsar-e-dosh-e-hawa maut ke harkare hain
is taraf hathon mein shamshiren hi shamshiren hain
us taraf zehn mein tadbiren hi tadbiren hain
zulm par zulm hain taziron pe taziren hain
sar pe talwar hai aur panw mein zanjiren hain
ek ho ek ki hangama-e-mahshar hai yahi
arsa-e-zist ka hangama-e-akbar hai yahi
apni sarhad pe jo aghyar chale aate hain
shoala-afshan o sharar-bar chale aate hain
KHun pite hue sarshaar chale aate hain
tum jo uTh jao to be-kar chale aate hain
KHun jo bah nikla hai us KHun mein baha do un ko
un ki khodi hui KHandaq mein gira do un ko
rang-e-gul-ha-e-gulistan-e-watan tum se hai
sorish-e-nara-e-rindan-e-watan tum se hai
nashsha-e-nargis-e-KHuban-e-watan tum se hai
iffat-e-mah-e-jabinan-e-watan tum se hai
tum ho ghairat ke amin tum ho sharafat ke amin
aur ye KHatre mein hain ehsas tumhein hai ki nahin
ye darinde ye sharafat ke purane dushman
tum ki ho hamil-e-adab-o-riwayat-e-kuhan
jada-paima ke liye KHizr ho tum ye rahzan
tum ho KHirman ke nigahban ye barq-e-KHirman
KHitta-e-pak mein zinhaar na aane paen
aa hi jaen jo ye zinda to na jaane paen
mard-o-zan pir-o-jawan in ke mazalim ke shikar
KHun-e-masum mein Dubi hui in ki talwar
ye qayamat ke hawasnak ghazab ke KHun-KHar
in ke isyan ki na had hai na jaraem ka shumar
ye tarahhum se na dekhenge kisi ki jaanib
in ki topon ke dahan kar do unhi ki jaanib
ye to hain fitna-e-bedar daba do in ko
ye miTa denge tamaddun ko miTa do in ko
phunk do in ko jhulas do ki jila do in ko
shan-e-shayan-e-watan ho ye bata do in ko
yaad hai tum ko kin aslaf ki tum yaaden ho
tum to KHalid ke pisar bhim ki auladen ho
tum to tanha bhi nahin ho kai dam-saz bhi hain
rus ke mard bhi hain chin ke jaan-baz bhi hain
kuchh na kuchh sath farangi ke fusun-saz bhi hain
aur hum jaise bahut zamzama-pardaz bhi hain
dur insan ke sar se ye musibat kar do
aag dozaKH ki bujha do ise jannat kar do
Nazm
Aahang-e-nau
Asrar-ul-Haq Majaz