jo chand par gaya hai so hai wo bhi aadmi
jo gap uDa raha hai so hai wo bhi aadmi
jo hans hansa raha hai so hai wo bhi aadmi
jo ji jala raha hai so hai wo bhi aadmi
hain aadmi ke sare zamane mein rang-rup
hain aadmi hi chandni aur aadmi hi dhup
hai aadmi hazaron ka aur ek pai ka
aadha hai apni man ka to aadha hai dai ka
pesha bhi aadmi ne sambhaala gadai ka
dawa bhi aadmi ne kiya hai KHudai ka
gora bhi aadmi hai to kala bhi aadmi
buzdil bhi aadmi hai jiyala bhi aadmi
jab aadmi ke dil ko churaata hai aadmi
sine se apne us ko lagata hai aadmi
aur is tarah se umr baDhata hai aadmi
mushkil se is jahan se jata hai aadmi
jata kahan hai KHud wo pakaDwaya jata hai
yani farishta bhej ke bulwaya jata hai
Dala hai aadmi ne har ek aadmi pe jal
hai aadmi bajae KHud ek mahshar-e-KHayal
nikla tamam umr ki koshish ka ye maal
aaya tha rota piTta jata hai KHasta-haal
is par ye haal hai ki akaDta hai aadmi
ghairon se aur apnon se laDta hai aadmi
ye aadmi laDai ko wietnam mein gaya
wo korea gaya kabhi aasam mein gaya
wo telawiw o qahira o sham mein gaya
ye aadmi hi muttahid-aqwam mein gaya
phir aadmi ko amn sikhata hai aadmi
bhainson ke aage bin bajata hai aadmi
iblis ko fareb sikhata raha hai wo
aur shobade hazar dikhata raha hai wo
aalam ko ungliyon pe nachata raha hai wo
hum ko jaza saza se Daraata raha hai wo
dozaKH se waz kah ke bachata hai aadmi
par KHud kabhi kabhi wahin jata hai aadmi
hai aadmi jo karta hai sab sina-zoriyan
karta hai luTne ke liye nafa-KHoriyan
bharta hai is bahane se apni tijoriyan
dushman ko bech khata hai gandum ki boriyan
chizon ki qimaton ko baDhata hai aadmi
aur gahakon ko KHun rulata hai aadmi
Nazm
Aadmi
Syed Mohammad Jafri