azim munsif!!
hamari qismat ki har adalat ka faisla hai
ki apni be-hurmati ki farman le ke jaen
to apna koi gawah laen
gawah
rishton ke mohtaram kunDliyon mein baiThe
sanpoliyon ka
gawah aisi haweliyon ka
ki jin mein qanun paon dharne se kapkapae
kunwari chiKHen
bilak bilak ke sadaen karti
in hi andheron mein Dub jaen
magar wo is be basi ka apni
na ek koi gawah paen
kahan se laen
gawah in bheDiyon ka
jo apni shahwaton par
ibaadaton ki muqaddas-o-mohtaram ebaen
sajae baiThe hon tak mein
saundhe kachche jismon ke
jin ke bajron ke ud mein
siskiyan sulagti hon raat ko
aur din tilawat ke lahn se
jagmagae jaen
ye mohtaram bheDiye
hum un ki KHabasaton ka gawah laen
kahan se laen
hamein koi aisa moajaza de
ki gungi andhi siyah shab ko
gawahiyon ka hunar sikhaen
KHabir hai to
basir hai to
tu jaanta hai
ki aaj tak maut ke alawa
koi na apna gawah paya
hamin pe TuTin qayamaten bhi
hamin ne zillat ka bar uThaya
kitab-e-insaf ke musannif
tere sahife to kah rahe hain
ki sare insan zi-sharaf hain
fahim hain
baalighun-nazar hain
sab apni apni kitab ki ru se apne bare mein ba-KHabar hain
to phir hamare hi pusht par hath kyun bandhe hain
hamari hi sab gawahiyon par ye be-yaqini ki mohr kyun hai
sabhi sahifon mein ye likha hai
tere taraazu ka
koi palDa jhuka nahin hai
to kya ye samjhen
hamara koi KHuda nahin hai
Nazm
Aadhi gawahi
Naseem Syed