udasi ke ufuq par jab tumhaari yaad ke jugnu chamakte hain
to meri ruh par rakkha hua ye hijr ka patthar
chamakti barf ki surat pighalta hai!
agarche yun pighalne se ye patthar, sang-reza to nahin banta!
magar ek hausla sa dil ko hota hai,
ki jaise sar-ba-sar tarik shab mein bhi
agar ek zard-ru, sahma hua tara nikal aae
to qatil raat ka be-ism jadu TuT jata hai
musafir ke safar ka rasta to kam nahin hota
magar tare ki chilman se
koi bhula hua manzar achanak jagmagata hai!
sulagte panw mein ek aabla sa phuT jata hai
Nazm
Aabla
Amjad Islam Amjad