aasman ke chehre par be-shumar aankhen hain
be-shumar aankhon mein be-hisab manzar hain
manzaron ke aaine apne apne chehron ko KHud hi dekh sakte hain
KHud hi jaan sakte hain apni be-nawai ko
wusaton ki chadar par silwaTen bahut si hain
is KHamosh duniya mein aahaTen bahut si hain
aati jati lahron ka azhdaham rahta hai
waqt ek KHanjar hai
be-niyam rahta hai
ye ajib duniya hai jis mein kuchh nahin milta
phir bhi ek lamhe mein be-shumar tariKHen
yun badalti rahti hain
jaise KHushk patton ka Dher uDta phirta hai
be-kanar samton mein
be-shumar samton mein be-shumar aankhen hain
kuchh nahin hai takne ko aur hazar aankhen hain
raston ke dhage se har taraf laTakte hain
KHak ke jazire se
har taraf bhaTakte hain
phir bhi aasmanon par raat ke andhere mein
subh ke sawere hain
ye ajab muamma hai
jis taraf bhi hum dekhen
TuTte hue lamhe bhagte hue raste jagte hue manzar
aainon ke andar bhi aainon ke bahar bhi
ek shor barpa hai
jis ko hum nahin sunte
aur wo hum se kahta hai
tum bhi mere jaise ho
main bhi miTne wala hun tum bhi miTne wale ho
aasman ke chehre par be-shumar aankhen hain
be-shumar aankhon mein be-hisab manzar hain
manzaron ke aaine
rang rang aaine ke jawab manzar hain
manzaron ke andar bhi sad hazar manzar hain
wo bhi miTne wale hain
hum bhi miTne wale hain
Nazm
Be-shumar aankhen
Shahzad Ahmad