KHabar wahshat-asar thi
use aise laga
jaise zamin panw ke niche se sarakti ja rahi hai
tabaq saton ke saton aasman ke is ke sar par aa gire hain
ek dhamake se
nazar ke samne hadd-e-nazar tak ek kali dhund ke
manzar shikan parde
zamin se aasman tak tan gae hain
hawa ke panw mein man man ki zanjiren paDi hain
udhar dil ko TaTola to laga use
ki jaise aasman ki wusaton mein koi tayyara ghira hua aandhiyon mein
aur girdab hawai mein musalsal pai-ba-pai khata ho hachkole
udhar chehre ko dekha to laga aise
ki jaise us kitab-e-zindagi se
sare harfon ki chamakti raushnai uD chuki ho
KHalish aise thi sine mein
ki jaise koi kanTe-dar jhaDi par mahin malmal ko bedardi se khinche
aur tar-o-tar kar Dale
lahu sare badan ka khinch ke aankhon ke shikasta jam-o-mina se
Tapakna chahta tha
use is haal mein dekha to aaine chaTaKH kar reza reza ho gae
aur aarzu ke us bahisht-abaad ki sab chizen
apne apne markaz se lagin haTne
falak ko chumne wale kalas aur kangare pal-pal-bhar mein miTTi chaTte the
aur dharti ki shikasta ja-ba-ja kaT jaane wali
sard rekhaon mein apne Thokaren khate muqaddar DhunDte the
daraKHt apni jagah se hil gae
aur un ki shaKHon par lada sab baur
phal banne se pahle jhaD gaya
gharaz har shai pe wahshat thi
KHabar hi is qadar wahshat-asar thi
suna hai jab dilon ki lahlahati khetiyan barbaad hoti hain
to aise zalzale aaya hi karte hain
Nazm
KHabar wahshat-asar thi
Tahseen Firaqi