اردو हिंदी
Zindagi zahr ka ek jam hui jati hai | Shaahi Shayari
zindagi zahr ka ek jam hui jati hai

Ghazal

Zindagi zahr ka ek jam hui jati hai

Nihal Sevharvi

;

zindagi zahr ka ek jam hui jati hai
kya se kya ye mai-e-gulfam hui jati hai

kuchh gizari hai gham-e-ishq-o-mohabbat mein hayat
kuchh supurd-e-gham-e-aiyyam hui jati hai

phir kisi mard-e-barahim ka mohtaj hai dahr
phir wahi kasrat-e-asnam hui jati hai

hawas-e-sair-e-tamasha hai ki hoti nahin KHatm
zindagi hai ki subuk-gam hui jati hai

jo kabhi KHaliq-e-hangama-e-tufan thi wo mauj
haif KHu-karda-e-aram hui jati hai

sohbat-e-pir-e-mughan mein ye khuli azmat-e-ishq
aql bhi durd-e-tah-e-jam hui jati hai

tum jo aae ho to shakl-e-dar-o-diwar hai aur
kitni rangin meri sham hui jati hai