zindagi se mili saughat ye tanhai ki
KHwab TuTe hain kai aankh mein sahrai ki
kyun sar-e-bazm meri us ne pazirai ki
us mein sazish to nahin phir se mere bhai ki
barq manzar se nigahon ki basarat chhine
fikr dushman ko mere hai meri binai ki
log chehre pe udasi ka sabab puchhenge
kya kahunga ki mujhe fikr hai ruswai ki
log bahar se samajhte hain bahut KHush hun main
kya KHabar un ko mere zaKHm ki gahrai ki
main bhi aaunga tujhe dene mubarakbaadi
jab bhi aawaz sununga teri shahnai ki
chhin kar munh se gharibon ke niwale 'shamsi'
hakim-e-waqt ne kya KHub masihai ki

Ghazal
Zindagi se mili saughat ye tanhai ki
Hidayatullah Khan Shamsi