zindagi kaise lagi diwar se
puchhna bhi kya kisi diwar se
bas mujhe sar phoDne ka shauq tha
baat thi diwar ki diwar se
TuTte dil ki kahani bhi kahi
yani phir TuTi hui diwar se
aao hum diwar-e-girya ka pata
puchh lete hain kisi diwar se
jo rukawaT thi hamari rah ki
rasta nikla usi diwar se
dastakon se dar the aise be-niyaz
lag gain aankhen meri diwar se
is taraf suraj nikal aaya hai kya
aa rahi hai raushni diwar se
Ghazal
Zindagi kaise lagi diwar se
Azhar Abbas