اردو हिंदी
Zindagi ka lutf bhi aa jaega | Shaahi Shayari
zindagi ka lutf bhi aa jaega

Ghazal

Zindagi ka lutf bhi aa jaega

Hafeez Jalandhari

;

zindagi ka lutf bhi aa jaega
zindagani hai to dekha jaega

jis tarah lakDi ko kha jata hai ghun
rafta rafta gham mujhe kha jaega

hashr ke din meri chup ka majra
kuchh na kuchh tum se bhi puchha jaega

muskura kar munh chiDa kar ghur kar
ja rahe ho KHair dekha jaega

kar diya hai tum ne dil ko mutmain
dekh lena saKHt ghabra jaega

hazrat-e-dil kaam se jaunga main
dil-lagi mein aap ka kya jaega

doston ki bewafai par 'hafiz'
sabr karna bhi mujhe aa jaega