اردو हिंदी
Zindagi ka bana sahaara bhi | Shaahi Shayari
zindagi ka bana sahaara bhi

Ghazal

Zindagi ka bana sahaara bhi

Mahesh Chandra Naqsh

;

zindagi ka bana sahaara bhi
aur un ke karam ne mara bhi

ishq hi phir palaT ke aa na saka
husn-e-maghrur ne pukara bhi

kaun Duba jo yun pasheman hai
mauj-e-tufan bhi tez dhaara bhi

hum na duniya ki rah par chalte
dil ko hota agar gawara bhi

umr bhar tirgi se khele hai
koi hansta hua sitara bhi

phul rote hain KHar hanste hain
dekh! gulshan ka ye nazara bhi

dil ki duniya to jagmaga uTThe
'naqsh' bhaDke koi sharara bhi