zindagi jo kah na pai rah gai
maut wo sari kahani kah gai
raat bhar us ka fasana likh ke hum
itna roe sab kitabat bah gai
hichkiyon mein dab gaya us ka sawal
jaise ek dastak adhuri rah gai
qurb ke sadme hun ya duri ka gham
jitna sahna tha mohabbat sah gai
jab bhi 'azar' dil se nikli koi baat
dil ki gahrai mein tah-dar-tah gai
Ghazal
Zindagi jo kah na pai rah gai
Rashid Aazar

