zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
be-adab girya-e-mahrumi-e-didar nahin
warna kuchh dar ke siwa hasil-e-diwar nahin
aasman bhi tere kuche ki zamin hai lekin
wo zamin jis pe tera saya-e-diwar nahin
hae duniya wo teri surma-taqaza aankhen
kya meri KHak ka zarra koi bekar nahin

Ghazal
Zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
Fani Badayuni