اردو हिंदी
Zindagi jab bhi aazmati hai | Shaahi Shayari
zindagi jab bhi aazmati hai

Ghazal

Zindagi jab bhi aazmati hai

Poonam Yadav

;

zindagi jab bhi aazmati hai
kuchh na kuchh to hamein sikhati hai

har haqiqat samajh mein aati hai
maut jab aaina dikhati hai

ek nannhi pari hai aangan mein
jo mere ghar ko ghar banati hai

koi pagal lahar kinare par
jaane kya likhti hai miTati hai

sar-phiri ho gai hai ek laDki
wo hawa mein diya jalati hai