zindagi hum se KHafa ho jaise
ab dawa ho na dua ho jaise
teri furqat mein hua yun mahsus
zindagi ek saza ho jaise
is tarah karta hun puja teri
tu mohabbat ka KHuda ho jaise
aisa arman-e-mulaqat bhi kiya
dil mein tufan bapa ho jaise
ab to ehsas-e-tamanna bhi nahin
qafila dil ka luTa ho jaise
mere honTon pe tera zikr-e-jamil
har nafas mauj-e-saba ho jaise
teri aankhon se barasti masti
ek mai-KHana khula ho jaise
gham se milti hai masarrat dil ko
gham bhi teri hi ada ho jaise
jhanjhana uTTha hai dil ka har tar
aap ka nam suna ho jaise
wo pasheman hain tabahi pe meri
ye bhi un ki hi KHata ho jaise
talKHi-e-jam mein pinhan 'sahir'
dard dil ki bhi dawa ho jaise
Ghazal
Zindagi humse KHafa ho jaise
Sahir Hoshiyarpuri