اردو हिंदी
Zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din | Shaahi Shayari
zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din

Ghazal

Zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din

Abdul Ahad Saaz

;

zikr hum se be-talab ka kya talabgari ke din
tum hamein sochoge ek din KHud se be-zari ke din

munhamik masruf ek ek kaam nimTate hue
saf se raushan se ye chalne ki tayyari ke din

roz ek bujhti hui silan bhare kamre ki sham
khiDkiyon mein roz murjhate ye bimari ke din

nam nashili saaton ki sard zahrili si raat
KHwab hote ja rahe hon jaise bedari ke din

hafize ki sust-rau lahron mein halchal kya hui
jag uTThe dhaDkanon ki tez-raftari ke din

zehan ke sahra mein uThta ek bagula sa kabhi
gahe gahe kar-amad se ye bekari ke din

dam-ba-dam tahlil sa hota hua manzar ka bojh
sahl se hote hue palkon pe dushwari ke din

umr ke bazar ki had par nawadir ki dukan
kuchh parakhte dekhte chunte KHaridari ke din

rah gai kaghaz pe khinch kar lafz se aari lakir
'saz' shayad bhar gae hain ab mere qari ke din