zist mein koshish-e-nakaam se pahle pahle
soch aaghaz ko anjam se pahle pahle
har bure kaam ka anjam bura hota hai
un ko samjha do bure kaam se pahle pahle
shukriya aap ke aane ka ayaadat ko meri
dard kam ho gaya aaram se pahle pahle
aaj mai-KHane mein jab KHauf-e-KHuda yaad aaya
hath tharrane lage jam se pahle pahle
adl-o-insaf ki azmat ko bachane ke liye
sar ko kaTwa diya ilzam se pahle pahle
ye bhi mumkin tha meri maut bhi Tal sakti thi
aap aa jate agar sham se pahle pahle
jab zaban kholi to is shan se kholi 'arif'
nam tera liya har nam se pahle pahle

Ghazal
Zist mein koshish-e-nakaam se pahle pahle
Syed Arif Ali u0027Arifu0027