zid hai unhen pura mera arman na karenge
munh se jo nahin nikli hai ab han na karenge
kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete
kahte hain ki wallah pareshan na karenge
hai zehan mein ek baat tumhaare mutalliq
KHalwat mein jo puchhoge to pinhan na karenge
waiz to banate hain musalman ko kafir
afsos ye kafir ko musalman na karenge
kyun shukr-guzari ka mujhe shauq hai itna
sunta hun wo mujh par koi ehsan na karenge
diwana na samjhe hamein wo samjhe sharabi
ab chaak kabhi jeb o gareban na karenge
wo jaante hain ghair mere ghar mein hai mehman
aaenge to mujh par koi ehsan na karenge
Ghazal
Zid hai unhen pura mera arman na karenge
Akbar Allahabadi