اردو हिंदी
Zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai | Shaahi Shayari
zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai

Ghazal

Zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai

Malikzada Manzoor Ahmad

;

zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai
sham ke dhundlakon mein yaad teri aai hai

kal KHizan mein diwane be-niyaz-e-daman the
fikr-e-pairahan ab hai jab bahaar aai hai

KHud ulajh gae aaKHir jo chale the suljhane
gesu-e-pareshan se wo shikast khai hai

zulmat-e-shab-e-gham mein zindagi ki rahon par
shama-e-arzu hum ne muddaton jalai hai

tum hi gesuon walo chhanw le ke aa jao
zindagi ki rahon par tez dhup chhai hai

kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti
wo bhi un ko de baiThe aisi mat khai hai

aap roe kyun aaKHir sun ke qissa-e-'manzur'
aap hi bataen to aankh kyun bhar aai hai