اردو हिंदी
Zara socho to mere sath aisa kyun hua hai | Shaahi Shayari
zara socho to mere sath aisa kyun hua hai

Ghazal

Zara socho to mere sath aisa kyun hua hai

Hamdam Kashmiri

;

zara socho to mere sath aisa kyun hua hai
badan TuTa hua tha para para kyun hua hai

KHud apni mauj se begana dariya kyun hua hai
jo hona hi nahin tha aaj aisa kyun hua hai

suron par aasman Duba hua hai baadalon mein
dukhon ki jhil ka pani bhi gahra kyun hua hai

KHudaya aajizi se main ne manga kya mila kya
asar meri duaon ka ye ulTa kyun hua hai

ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aai hai
yakayak meri aankhon mein andhera kyun hua hai

wahan ki aab-ju mein tel bahta hai barabar
yahan wadi mein apni KHushk dariya kyun hua hai

kahan jaenge tujh ko chhoD kar ai man bata de
teri aaghosh mein dushwar jina kyun hua hai

ye kis ne kar diya do laKHt mujh ko aaj 'hamdam'
kahan hun main mera saya akela kyun hua hai