zara haTe to wo mehwar se TuT kar hi rahe
hawa ne nocha unhen yun ki bas bikhar hi rahe
hain be-nishan jo uDe the bagula-zad ho kar
zamin pe leTne wale zamin par hi rahe
bahaar jhaDiyon par TuT TuT kar barsi
duaen mangte ashjar be-samar hi rahe
KHusha ye saya o KHushbu ki tair-e-KHush-rang
na phir ye waqt rahe aur na ye shajar hi rahe
banaen aisa makan ab ki chand aur suraj
jidhar bhi jaen magar raushni idhar hi rahe

Ghazal
Zara haTe to wo mehwar se TuT kar hi rahe
Ali Akbar Abbas