zamistani hawa mein garche thi shamshir ki tezi
na chhuTe mujh se london mein bhi aadab-e-sahar-KHezi
kahin sarmaya-e-mahfil thi meri garm-guftari
kahin sab ko pareshan kar gai meri kam-amezi
zamam-e-kar agar mazdur ke hathon mein ho phir kya
tariq-e-koh-kan mein bhi wahi hile hain parwezi
jalal-e-padshahi ho ki jamhuri tamasha ho
juda ho din siyasat se to rah jati hai changezi
sawad-e-raumat-ul-kubra mein dilli yaad aati hai
wahi ibrat wahi azmat wahi shan-e-dil-awezi
Ghazal
Zamistani hawa mein garche thi shamshir ki tezi
Allama Iqbal