اردو हिंदी
Zamir-e-nau-e-insani ke din hain | Shaahi Shayari
zamir-e-nau-e-insani ke din hain

Ghazal

Zamir-e-nau-e-insani ke din hain

Abu Mohammad Sahar

;

zamir-e-nau-e-insani ke din hain
sadaqat ki jahanbani ke din hain

tilism-e-subh-kazib KHud hi TuTa
tulua-e-subh-e-nurani ke din hain

jumud-e-fikr toDa phir bashar ne
uruj-e-zehn-e-insani ke din hain

hukumat-e-waqf-e-istibdad kyun ho
usi nukte ki arzani ke din hain

hue be-dast-o-pa zalim purane
sitam ki KHana-virani ke din hain

khuli har-fard-o-har-millat ki qismat
ki aazadi ki sultani ke din hain

'sahar' wajib hai tazim-e-taghayyur
ye mana hum ne hairani ke din hain