zamin kuchh falak ko batane lagi hai
dhanak rang ke git gane lagi hai
hai phaila ye har samt kaisa ujala
dabe paon shab jaise jaane lagi hai
ye barish ki bunden fazaon mein uD kar
sitaron ki lau ko bujhane lagi hai
wo sahil pe jo apne naqsh-e-qadam the
unhen gham ki lahren miTane lagi hai
ye patton ki baaten daraKHton ki aahen
hawaen bhi qisse sunane lagi hai

Ghazal
Zamin kuchh falak ko batane lagi hai
Sandeep Koul Nadim