zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga
main dekhta hua patthar dikhai dene laga
wo samne tha to kam kam dikhai deta tha
chala gaya to barabar dikhai dene laga
nishan-e-hijr bhi hai wasl ki nishaniyon mein
kahan ka zaKHm kahan par dikhai dene laga
wo is tarah se mujhe dekhta hua guzra
main apne aap ko behtar dikhai dene laga
tujhe KHabar hi nahin raat moajiza jo hua
andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga
kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua
ki main charagh ke andar dikhai dene laga
pahunch gaya teri aankhon ke us kinare tak
jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga
Ghazal
Zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga
Shaheen Abbas

