zamin-e-ishq pe ai abr-e-eatibar baras
visal-e-yar ka bah jae intizar baras
sharab-e-shauq kahin mujh ko kar na de madhosh
teri tari se utar jae ye KHumar baras
mere habib ko de dun wafa ka ek moti
khula hai dil ka sadaf aa bas ek bar baras
pae numud na garmi hai ishq ki na hawa
daraKHt zist ke hain KHushk barg-o-bar baras
kahin najat ka dariya na sukhne lag jae
chala kare meri kashti ka karobar baras
zamin-e-dil mein ugi hai ana ki fasl nai
tabah kar de diya main ne iKHtiyar baras
kahin unhen na ho KHanda-labi pe wahm-o-guman
dikha de bekasi ai chashm-e-be-qarar baras
wo ek pal jo tere ishtiyaq mein guzra
us ek pal mein simaT aae hain hazar baras
tere barasne se pani hai qalb dushman ka
amal ye nek hai 'tamjid' bar bar baras

Ghazal
Zamin-e-ishq pe ai abr-e-eatibar baras
Syed Tamjeed Haider Tamjeed