zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla
tamaddun ke qadim aqdar badle aadmi badla
KHuda-o-ahrman badle wo iman-e-dui badla
hudud-e-KHair-o-shar badle mazaq-e-kafiri badla
nae insan ka jab daur-e-KHud-na-agahi badla
rumuz-e-be-KHudi badle taqaza-e-KHudi badla
badalte ja rahe hain hum bhi duniya ko badalne mein
nahin badli abhi duniya to duniya ko abhi badla
nai manzil ke mir-e-karwan bhi aur hote hain
purane KHizr-e-rah badle wo tarz-e-rahbari badla
kabhi socha bhi hai ai nazm-e-kohna ke KHuda-wando
tumhaara hashr kya hoga jo ye aalam kabhi badla
udhar pichhle se ahl-e-mal-o-zar par raat bhaari hai
idhar bedari-e-jamhur ka andaz bhi badla
zahe soz-e-gham-e-adam KHusha saz-e-dil-e-adam
isi ek shama ki lau ne jahan-e-tirgi badla
nae mansur hain sadiyon purane sheKH-o-qazi hain
na fatwe kufr ke badle na uzr-e-dar hi badla
batae to batae us ko teri shoKHi-e-pinhan
teri chashm-e-tawajjoh hai ki tarz-e-be-ruKHi badla
ba-faiz-e-adam-e-KHaki zamin sona ugalti hai
usi zarre ne daur-e-mehr-o-mah-o-mushtari badla
sitare jagte hain raat laT chhaTkae soti hai
dabe panw kisi ne aa ke KHwab-e-zindagi badla
'firaq' ham-nawa-e-'mir'-o-'ghaalib' ab nae naghme
wo bazm-e-zindagi badli wo rang-e-shairi badla
Ghazal
Zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla
Firaq Gorakhpuri

