اردو हिंदी
Zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri | Shaahi Shayari
zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri

Ghazal

Zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri

Heera Lal Falak Dehlvi

;

zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri
magar main KHush hun un ki dastan hai aur zaban meri

akela hun bhari duniya mein main kis ko kahun apna
koi hota to kar deta mukammal dastan meri

guzarta aa raha hun jaane mein kin kin maqamon se
zamin ke baad aaya rahguzar mein aasman meri

main yarab KHak ka putla sahi lekin ye kya kam hai
hui hai muntaKHab hasti barae imtihan meri

fana ki manzilon par KHatm hain rahen anasir ki
yahi ab dekhna hai ruh jati hai kahan meri

na jaane silsila jata kahan tak jism-e-KHaki ka
KHuda ka shukr hai had ban gae kaun-o-makan meri

zara ai azm-e-dil ruKH pher tufan ki hawaon ke
su-e-girdab kashti le chali mauj-e-rawan meri

zaban par le to aaunga magar dil thamna hoga
mujhe malum hai rudad-e-dil hai la-bayan meri

kaDak kar bijliyan rah jaengi chhaT jaenge baadal
rahega zindagi ban kar sukun-e-ashiyan meri

'falak' main sar-zamin-e-'dagh'-o-'ghaalib' ka hun ek zarra
watan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zaban meri