اردو हिंदी
ZaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta | Shaahi Shayari
zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta

Ghazal

ZaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta

Mohsin Bhopali

;

zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta
apni taKHliq se main dad-e-hunar kya leta

wo kisi aur tasalsul mein raha mahw-e-kalam
meri baaton ka bhala dil pe asar kya leta

us ko fursat hi na thi naz-e-masihai se
apne bimar ki wo KHair-KHabar kya leta

ek aawaz pe maqsum tha chalte rahna
be-tayyun tha safar raKHt-e-safar kya leta

saz-e-lab gung the be-nur thi qindil-e-nazar
aise mahaul mein ilzam-e-hunar kya leta

be-niyazana raha apni rawish par 'mohsin'
shab-paraston se bhala fal-e-sahar kya leta