zahr-e-chashm-e-saqi mein kuchh ajib masti hai
gharq kufr o iman hain daur-e-mai-parasti hai
shama hai sar-e-mahfil kuchh kaha nahin jata
shola-e-zaban le kar baat ko tarasti hai
zulf-e-yar ki zad mein dair bhi hai kaba bhi
ye ghaTa jab uThti hai dur tak barasti hai
aaj apni mahfil mein hai bala ka sannaTa
dard hai na taskin hai hosh hai na masti hai
kaun ja ke samjhae KHud-parast duniya ko
kya sanam-parasti hai kya KHuda-parasti hai
saKHt jaan-lewa hai sadgi mohabbat ki
zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai
hum to rah ke dilli mein DhunDte hain dilli ko
puchhiye 'rawish' kis se kya yahi wo basti hai

Ghazal
Zahr-e-chashm-e-saqi mein kuchh ajib masti hai
Ravish Siddiqi