zabt honTon pe aa gaya to phir
tera sab hausla gaya to phir
sal-ha-sal ka akela-pan
tujh ko andar se kha gaya to phir
meri tanhai ka ye sannaTa
har taraf gunjta gaya to phir
wo jo tabir ban ke aaya hai
KHwab sare jala gaya to phir
har taraf ye safed suna-pan
manzaron ko jala gaya to phir
jhil aankhen sarahne wala
in ko dariya bana gaya to phir
apne sab lafz de diye us ko
ab wahi bolta gaya to phir
is ke lahje ka rang agar 'nahid'
tere lahje pe chha gaya to phir

Ghazal
Zabt honTon pe aa gaya to phir
Naheed Virk